Sunday, 19 February 2017

Shiv.. the rudra 1

Oye pille yaha kyo pada hua hai....
Ek sakht aavaj ne mujhe mere sapno ki duniya se utha diya tha....
kitna sundar sapna tha mera....bade bade barf se dhake pahad....kisi naag ki tarah bal khaakar bahti hui nadiya...
Har tarf sundar sundar phool....jaise saari bahaaar mere sapne mai he sama gayi ho....
Lekin us aavaj ne mujhe waapas is gandgi mai laakar patak diya....
SUNA NAHI KYA TUNE.....UTHHH BHAAG YAHA SE...
Mai apna sir khujata hua uth kar beth jaata hu...or dekhne lagta hu mere sapne ko chhin bhhin karne waale shaksh ko...
Wo ek vardi dhaari police wala tha...
Mai--saahab kyo jaga diya...kitni acchi neend aa rahi thi...
Police wala--dekh yaha bord par likha hai yaha faaltu bethna mana hai....
Mai--kya saahab....mujhe bhi pata hai yaha kya likha hai....
Lekin mai yaha betha thode he tha....mai to so raha tha...
Police wala--dekh subah subah mera dimag khrab mat kar....ab yaha se bhagta nazar aa varna teri taange todkar tere haath mai de dunga...
Mai--saahab taange tod doge to mai bhagunga kaise...
Or ye bolkar mai waha se turant rafuchakkar ho gaya....or ek shaant jagah dekh kar phir se waha late gaya...
Mera naam hai rudraaksh....kahte hai rudraaksh mahadev kai aansuo se bana tha...shaayd ye kisi ne sach he kaha tha...
meri hight hai saadhe teen feet...
Pata nahi abdul bhai ne mera naam rudraaksh kyo rakha...shaayd meri kismat mai bhi rona he likha tha is liye...
Mai abdul bhai ki chaay ki dukaan par kaam karta hu waha sab ko chaay dena or logo ke jhute glass dhona yahi kaam tha mera..
Kaam kai badle abdul bhai mujhe dono waqt ka khaana dete hai or night school mai jaane ki fees bhi bhar dete hai....
Mere paas naa ghar tha or naa he maa baba ka sir par saaya...
Abdul bhai batate hai mai unhe kutto ke pillo kai paas sota hua mila tha or un pillo ki maa mujhe bhi apna dudh pila rahi thi...
Mera paas bas ek he cheej aisi thi jise mai apna kah sakta tha wo tha mere gale mai latkta sapt mukhi rudraaksh...shayad isi rudraaksh ko dekh kar abdul bhai ne mera naam rudraaksh rakh diya....
Kabhi jab mujhe bhuk lagti hai to mai kisi naa kisi ke gaay ke baade mai ghus jaata hu...or sidha wahi khada khda unke than se dudh pine lag jaata hu...mere dudh pi jaane kai chakkar mai gaay ka bacchda bichara bhuka rah jata tha lekin kabhi kisi bhi jaanwar ne mujh par hamla nahi kiya ...
Shaayd unko bhi meri haalat par taras aajata tha...
Mai hu rudraaksh shaayd apni tarah ka ek akela praani....jiska abdul bhai jaisa baap saman maalik...or chaar pero waali meri kaafi saari maaye thi...in sab kai alawa mera koi nahi hai......

No comments:

Post a Comment