Sunday, 19 February 2017

Shiv.. the rudra 3

Mai us aag ki thandk se khel raha tha or abdul bhai baba kai pairo mai bethe mujhe dekhe jaa rahe the....
Mai--baba ye aag itni sheetal kaise hai....???
Sadhu--beta ye narak ki aag hai....ye sirf bure logo par asar karti hai....tumhara man nishchhal hai isliye ye tumhe sheetal lag rahi hai.....
Bolo ab chalna pasand karoge mere saath....
Mai--jarur baba mujhe agar ye sab sikhne ka moka milega to mai jarur aapke saath chalunga...
Uske baad mai mera saaman laane dukaan ke andar jaane lagta hu....
Sadhu--ab kaha chal diye...
Mai--baba mera saaman to le lu....
Sadhu--us saaman ki ab tumhe koi avshykta nahi hai....tum use yahi chhod do....
Mai--theek hai baba kya mai meri maa se mil sakta hu....
Saadhu--muskuraate hue...jarur beta tum apni maa se mil sakte ho...
MAAA......MAAAA...MAAAAA KAHA HO....
Mai jo jor se aavaje laga kar apni maa ko pukaar raha tha....
Tabhi waha kaafi saari gaayen or ek kutiya apne kuchh baccho ke saath bhagti hui mere paas aajati hai....ye sab meri maa thi....inhone he bhuka hone par mera pet bhara tha....mai meri taraf bhaag kar aarahi kutiya ko apne sine se laga leta hu....or saari gaayen mujhe uper se neeche chaatne lag jaati hai...
Mai--maa mai in saadhu baba kai saath jaa raha hu pata nahi ab kab milna hoga....wo kutiya mere saamne bilkul shaant. Tarike se bethhi mujhe apalak nihaar rahi thi...tabhi wo apni jagaj se uthi or saadhu baba ke pero mai lotne lag jaati hai..,
Saadhu baba uske sir par apna haath ferte hai or kahte hai...
Saadhu--hai mahan aatma tune shwaan yoni mai hote hue bhi apna pura matratv is baalak par lutaaya hai....jaldi he tumhe moksh praapt ho jaaega....or tumhare liye swarg ke darwaaje....hamesha khule rahenge...
Ab baba apni jagah se khade ho gaye the...or mera haath pakdte hue apne saath aaye saadhuo ko kahte hai....
Saadhu--shishyo mujhe ab waaps lotna hoga...yaha aakar mera uddeshya safal ho chuka hai....tum apni yaatra jaari rakh sakte ho....
Unmai se ek saadhu bolta hai....
Sadhu--baba agar aap chahe to mai aapke jaane kai liye dusri gaadi ka prbandh kar sakta hu...
Saadhu--putr mujhe kahi bhi aane jaane kai liye kisi vaahan ki koi jarurat nahi hai.,,.
Uske baad wo sabhi saadhu...baba ka aashirwaad lekar apni yaatra par nikal padte hai...
Sadhu--abdul...tere ghar mai phir se lakshmi ka vaas hoga....tera bhagy mai ab ek putri aane waali hai....use acche se shiksha diksha dilwaana....aane waale waqt mai tumhara or rudraaksh ka phir se milan hoga....
Uske baad baba waha khdi meri sabhi maao ko muskuraate hue dwkhte hai or kahte hai....KALYAAN HO...,
Hum dono waha se ek he pal mai himaalay ki ghaatiyo mai pahoch chuke the...kitna sundar naazara tha bilkul wesa he jaisa maine apne sapne mai dekha tha.,,
Saadhu--beta aaj kai baad ye himaalay he tumhara ghar hai...tumhe yahi par rahana hoga...lekin saavdhaan dakshin disha ki taraf bhul kar bhi kabhi mat jana....waha rahne waale jeev tumhare bhakshan kai liye...sadiyo se tatpar hai....
Mai--baba mujhe aapke rahte kisi kaa dar nahi hai....
Saadhu--tumhara jeevan kathinaaiyo se bhara hai beta...har pal mrityu tumhare piccha karti rahegi....isiliye tumhari siksha aaj he se shuru karni padegi mujhe....taaki aane waali vipdao se tum lad sako...
Mao--lekin baba mai kese kisi se lad sakta hua...mai naa to utna bada hua hu or naa he mujh mai itni taakat hai...
Saadhu--tum bade hone se pahle he apne shatruo ko unke antim sthaan tak pahucha doge...or rahi baat bal ki to tumhe shaktiya mai dilwaaunga......

Shiv.. the rudra 2

Mai ab waha se uth kar abdul bhai ki dukaan ki taraf badh jaata hu....dukaan par pahochte he...
Abdul--are rudra kaha thaa re tu raat bhar se....mai tere bharose ye dukaan chhodkar chala jaata hu ke tu yaha so jaaega...
Lekin yaha aakar dekhta hu to hamesha ki tarah tu gaayab....
Mai--abdul bhai wo kya hai naa. Kabhi aap raat ko dukan par sokar dekho...aap ko pata lag jaaega jab macchar aap par charo taraf se hamla kar denge or aap ka khoon choos choos kar jagah jagah se suja denge....ek ye macchar he hai jo meri baat nahi sunta...
Abdul--chal ab chup kar or acche se ek baar saare bartan chamka de grahko kai aane ka time ho gaya....
Mai--grahko ke aane ka time hogaya to aap aise bol rahe ho jaise kahi ka rashtrpati aane waale hai....peete ek chaay hai or saare din ghada majuri mujh se karwaate hai....
Bata deta hu abdul bhai wo din ab jyada dur nahi hai mai jab yaha se bhaag jaaunga...
Abdul--ab tu chup chap kaam karega yaa uthaau danda....bada aaya bhaagne waala...jaaega kaha tu yaha se bhag kar...hai kon tera is duniya mai jo tujh jaise laawaris ko sambhalega...
Mai--ek din aaega abdul bhai jab ye duniya mujhe nahi balki mai is duniya ko sambhalunga...
Tabhi abdul bhai apni tabel par pada kapda meri tarf fek kar maarte hai.,,
Abdul--jaagte hue sapne mat dekha kar...ab jaldi jaldi haath chala or uske baad naha dhho kar dhandhe mai lag jaa...
Uske baad mai chupchaap khud ko kosta hua baratan ragadne lag jaata hu...or phir rojaana waala bekaar kaam....
Pata nahi mai yaha kya kar raha hu...mujhe to kisi barfili vaadiyo mai hona chaiye tha...
Kaha fas gaya mai bhi....
Kuch he der baad waha ek bus aakar rukti hai...wo bus saadhuo se khacha khach bhari hui hoti hai...usmai se kaafi saare saadhu subah kai nity karam kai liye dabba lekar idhar udhar chale jaate hai or 2 saadhu humari dukaan ki taraf badh jaate hai...
Wo dukaan ke bahar lagi chaarpaayi par beth jaate hai unmai se ek saadhu jiski kaafi badi daadhi thi bilkul safed rang ki....chehara bilkul kisi roshni ki tarah cham raha tha...
Mai un ke paas gaya or chaay kai liye pucchne laga....
Unhone mujhe uper se neeche tak dekha...or mujh se puccha...
Saadhu--kya naam hai tera baalak...
Mao--baba rudraaksh naam hai mera..
Sadhu--tera ye naam kisne rakha...
Mai--baba ye mere maalik abdul bhai ne rakha hai...
Sadhu--tujhe pata hai rudraaksh kya hota hai...
Mai--baba wahi pata hai jo log kahte hai k rudraaksh mahadev ke aansuo se bana hai , bas itna he jaanta hu baba....
Saadhu--kabhi dekha hai rudraaksh kaisa hota hai....
Mai--dekha kya baba ye to hamesha mere gale mai he pada rahata hai...ye dokho....
Or mai saadhu baba ko wo rudraaksh dikhaane lag jaata hu....use dekhte he baba ki aankhe chamkne lagti hai....wo apne thharthharate haatho ko mere gale mai pahne rudraaksh ki taraf badha dete hai....or use apne haath mai pakad kar apno aankhe band kar lete hai......
HAI MAHADEV......ye bol achanak saadhu baba kai muh se nikal jaate hai...
Mai--kya hua baba...kya meri tarah ye rudraaksh bhi nakli hai kya....
Saadhi baba ek tak mere chahre ki taraf dekhe he jaa rahe the....tabhi wo bolte hai...
Sadhu --tere maalik kai paas jaa or use bol kai mai use bula raha hu....
Mai bhagkar abdul bhai kai paas jaata hu or abdul bhai mere piche piche waha par aajate hai...
Saadhu--rudraaksh ko hum apne saath lejana chahte hai....tere yaha iska koi bhavishy nahi hai...iska bhavishya sirf humaare saath he hai..,.
Abdul ---baba ye kaisi baate kar rahe ho...
Mujhe ye us samay mila tha jab ise bolna bhi nahi aata tha...maine ise apne baacho jaosa pyaar kiya hai...or aap ise le jaana chahte ho....
Saadhu--mujhe mat samjha tune kis liye ise pala...do waqt ki roti dene waala koi baap nahi ban jaata...ye tujhe mila jarur hai lekin is par haq sirf mahadev ka hai....is liye mujh se vyarth bahas mat kar or khushi khushi rudraaksh ko yaha se vida kar...
Abdul---mai kon hota hu baba ise rokne waala agar ye aapke saath jana chaahe to mai ise rokunga nahi...
Sadhu--rudraaksh idhar aao mere paas.
Mao--ha baba kya hua
Sadhu--hum tumhe lejana chahate hai hamesha kai liye kya tum chalna pasand karoge humaare saath....
Mai--baba mai yaha khush hu or waise bhi mai aap logo ke saath rahkar karunga kya....
Sadhu--tumhe kuch nahi karna...humare saath humaare gurukul mai chalo jo himaalay ki ghaatiyo mai basa hai,..tumhe wahi apna adhyatmik gyaan prapt hoga...
Mai--baba adhyatik gyaan kya hota hai...
Baba muskuraate hue...
Saadhu--jab tum ise sikhna shuru karoge tab apne aap pata chal jaaega.. chalo ab apna haath saamne karo or apni mutthi kas kar band kar lo....
Maine apna ek haat hawa mai rakh kar apni mutthi band kar li...
Saadhu--chalo ab apni mutthi khol do..
Mai jaise he apno mutthi kholta hu .,,,
Meri hatheli mai se aag ki lapte nikal rahi thi....ye dekh kar mai ghabra gaya or bhag kar waha rakhi paani ki baalti mai apna haath daal diya...or jaise he maine apna haath bahar nikala aag phir se jal uthi.,,,,
Mai--baba bachao is aag se mai jal jaaunga..,
Saadhu--ghabrao mat rudraaksh ye aag tumhe nuksaan nahi pahochaaegi apna dusra haath is par phira kar dekho.,,,
Mai jab apna dusra haath us aag kai upar se laajata hu to mujje thandak ka ehsaas hota hai........
_________________

Shiv.. the rudra 1

Oye pille yaha kyo pada hua hai....
Ek sakht aavaj ne mujhe mere sapno ki duniya se utha diya tha....
kitna sundar sapna tha mera....bade bade barf se dhake pahad....kisi naag ki tarah bal khaakar bahti hui nadiya...
Har tarf sundar sundar phool....jaise saari bahaaar mere sapne mai he sama gayi ho....
Lekin us aavaj ne mujhe waapas is gandgi mai laakar patak diya....
SUNA NAHI KYA TUNE.....UTHHH BHAAG YAHA SE...
Mai apna sir khujata hua uth kar beth jaata hu...or dekhne lagta hu mere sapne ko chhin bhhin karne waale shaksh ko...
Wo ek vardi dhaari police wala tha...
Mai--saahab kyo jaga diya...kitni acchi neend aa rahi thi...
Police wala--dekh yaha bord par likha hai yaha faaltu bethna mana hai....
Mai--kya saahab....mujhe bhi pata hai yaha kya likha hai....
Lekin mai yaha betha thode he tha....mai to so raha tha...
Police wala--dekh subah subah mera dimag khrab mat kar....ab yaha se bhagta nazar aa varna teri taange todkar tere haath mai de dunga...
Mai--saahab taange tod doge to mai bhagunga kaise...
Or ye bolkar mai waha se turant rafuchakkar ho gaya....or ek shaant jagah dekh kar phir se waha late gaya...
Mera naam hai rudraaksh....kahte hai rudraaksh mahadev kai aansuo se bana tha...shaayd ye kisi ne sach he kaha tha...
meri hight hai saadhe teen feet...
Pata nahi abdul bhai ne mera naam rudraaksh kyo rakha...shaayd meri kismat mai bhi rona he likha tha is liye...
Mai abdul bhai ki chaay ki dukaan par kaam karta hu waha sab ko chaay dena or logo ke jhute glass dhona yahi kaam tha mera..
Kaam kai badle abdul bhai mujhe dono waqt ka khaana dete hai or night school mai jaane ki fees bhi bhar dete hai....
Mere paas naa ghar tha or naa he maa baba ka sir par saaya...
Abdul bhai batate hai mai unhe kutto ke pillo kai paas sota hua mila tha or un pillo ki maa mujhe bhi apna dudh pila rahi thi...
Mera paas bas ek he cheej aisi thi jise mai apna kah sakta tha wo tha mere gale mai latkta sapt mukhi rudraaksh...shayad isi rudraaksh ko dekh kar abdul bhai ne mera naam rudraaksh rakh diya....
Kabhi jab mujhe bhuk lagti hai to mai kisi naa kisi ke gaay ke baade mai ghus jaata hu...or sidha wahi khada khda unke than se dudh pine lag jaata hu...mere dudh pi jaane kai chakkar mai gaay ka bacchda bichara bhuka rah jata tha lekin kabhi kisi bhi jaanwar ne mujh par hamla nahi kiya ...
Shaayd unko bhi meri haalat par taras aajata tha...
Mai hu rudraaksh shaayd apni tarah ka ek akela praani....jiska abdul bhai jaisa baap saman maalik...or chaar pero waali meri kaafi saari maaye thi...in sab kai alawa mera koi nahi hai......